Waah kya Martaba Aye Gaus hai Baala Tera,
Oonche Oonchoñ ke Saroñ se Qadam Aala Tera.
Sar Bhala kya koi Jaane kee hai kaisa Tera,
Auliya malte haiñ Aankheiñ wo hai Talwa Tera.
Kya dabe jis pe Himaayat ka ho panja Tera,
Sher ko Khatre meiñ laata nahi Kutta Tera.
Qasmeiñ de-de ke Khilaata hai Pilaata hai Tujhe,
Pyara Allah Tera Chaahne wala Tera.
Mustafa ke Tane Be Saaye ka Saaya Dekha,
Jis ne dekha meri jaañ Jalwa _e_ Zeba Tera.
Ibne Zahra ko mubarak ho uroos _e_ Qudrat,
Qadri paayeiñ tasadduq mere Doolha Tera.
Kyun na Qasim ho kee Tu Ibne Abil Qasim hai,
Kyun na Qadir ho kee Mukhtaar hai Baba Tera.
Nabavi zil Alavi burj Batooli manzil,
Hasani chaand Husaini hai ujala Tera.
Husn _e_ Niyyat ho khata phir kabhi karta hi nahi,
Aazmaya hai yagana hai Dogana Tera.
Jaan to Jaate hi Jaayegi Qayamat ye hai,
Kee yahaañ Marne pe thehra hai Nazaara Tera.
Tujh se Dar, Dar se Sag, Aur Sag se hai Mujh ko Nisbat,
Meri Gardan meiñ bhi hai door ka Dora Tera.
Is Nishaani ke jo Sag haiñ nahiñ Maare Jaate,
Hashr tak mere gale meiñ rahe Patta Tera.
Meri Qismat ki Qasam Khaayeiñ Sagaan _e_ Baghdaad,
Hind meiñ bhi hooñ to deta rahooñ Pehra Tera.
Bad sahi Chor sahi Mujrim _o_ Naakaara sahi,
Aye wo kaisa hi sahi hai to Kareema Tera.
Mujh ko Ruswa bhi agar koi kahega to Yuñhi,
Kee wahi na woh RAZA Banda e Ruswa Tera.
Haiñ RAZA yuñ na bilak tu nahiñ Jayyid to na ho,
Sayyide Jayyide har dahar hai Maula Tera.
Fakhr e Aaqa meiñ RAZA aur bhi ek Nazm e Rafee,
Chal Likha laayeiñ Sana Khwaanoñ meiñ Chehra Tera.
✍️Kalaam Sayyadi Ala Hazrat imam Ahamad Raza Faazile Barelvi Alaihirramaturrizawan
___________________________________
🖌Post Credit - Shakir Ali Barelwi Razvi wa Ahliya Mohtarma
Post a Comment